Thursday, 23 January 2014

Shaayar Badnaam

Mujhe Ghalib ki sherwaani,
dadhi aur kalam de do…
Dehli sheher ki dhool mein naqshe,
woh azeem kadam de do…

Hiqarat-pasand us shayar jaisa,
mujhe ik naam badnaam de do…
Us shraabi aashiq ke mazaar par,
bas ik mera salaam de do...

Shayar ko dawa ki talab kahaan?
Mujhe kuchh aur zakham de do…
Khushiyon se jee bhar gaya hai mera,
mujhe to dard tamaam de do

Meri takhleeq ko roshan karein jo,
mujhe woh saare ilham de do
Mausiqi ke liye ye zindagi nahi kaafi,
mujhe bas ik aur janam de do…


----------------------------------------------


शायर बदनाम 


मुझे ग़ालिब की शेरवानी,
दाढ़ी और कलम दे दो;
देहली शहर के धूल में नक़शे 
वो अज़ीम क़दम दे दो। 

हिक़ारत-पसंद उस शायर जैसा 
मुझे इक नाम बदनाम दे दो;
उस शराबी आशिक़ के मज़ार पर
बस इक  मेरा सलाम दे दो। 

शायर को दवा कि तलब कहाँ?
मुझे कुछ और ज़खम दे दो,
ख़ुशियों से जी भर गया है मेरा 
मुझे तो दर्द तमाम दे दो। 

मेरी तख़लीक़ को रोशन करें जो 
मुझे वो सारे इल्हाम दे दो,
मौसीक़ी के लिए ये ज़िन्दगी नहीं काफ़ी 
मुझे बस इक और जनम दे दो। 






No comments:

Post a Comment