Jeetey hain
Ehsaason ko aahiste-aahiste,
phoonk-phoonk ke peetay hain
Zindagi ab tujhe hum,
ruk-ruk ke jeetay hain.
Seena taankar dil par bhala,
kaise lein woh zakhm?
Saari umr jinke musalsal,
jhuk-jhuk ke beetay hain
Daaghdar ye chehra mera,
dekhke munh na phero,
Fizool ke nishaan nahi ye,
gham aur khushi ke chheentay hain.
Waqt ki meherbaaniyon se jab
hui saans taar-taar
Zaridaar ek kafan yaaron hum ,
chhup chhup ke seetay hain.
....................................
जीते हैं
एहसासों को आहिस्ते आहिस्ते,
फूँक फूँक के पीते हैं;
ज़िन्दगी अब तुझे हम
रुक रुक के जीते हैं।
सीना तानकर दिल पर भला
कैसे लें वो ज़ख्म?
सारी उम्र जिनके मुसलसल,
झुक झुक के बीते हैं।
दाग़दार ये चेहरा मेरा
देखके मुंह न फेरो;
फ़िज़ूल के निशाँ नहीं ये,
ग़म और ख़ुशी के छींटे हैं।
वक़्त कि मेहरबानियों से जब
हुईं सांस तार तार;
ज़रीदार इक कफ़न यारों हम
छुप छुप के सीते हैं।
------------------------------------------
No comments:
Post a Comment