Khudqushi
Syahi ki botal mein aaj hum
thoda zeher bhar laaye hain;
itr ke badle aaj mehfil pe
tezaab chhidak aaye hain.
Jo shamma jalaya tha humne
apne aashiyaan ki roshni ke liye,
usi chiraagh se aaj hum apna
gharonda phoonk aaye hain.
Bade ghumaan se taaktey they khud ko
aabgeenon mein bar-bar
usi aks se khafa hokar aaj
saare aaine tod aaye hain.
Kya degi ab aur ye duniya
saare ilzaam to de chuki;
Humdardi ki aas kahan?
ab itne thokar khaye hain.
Na udhao ab hum par ye
dhaani rang ke chaadar.
Bas karo! ke aaj hum par
sufaid kafan ke saaye hain.
Vaada kiya tha jis dost se humne
ta-umr saath nibhane ka,
Aansoo mein dubakar aj hum unhe
akela chhod aaye hain.
------------------------------------------
Syahi ki botal mein aaj hum
thoda zeher bhar laaye hain;
itr ke badle aaj mehfil pe
tezaab chhidak aaye hain.
Jo shamma jalaya tha humne
apne aashiyaan ki roshni ke liye,
usi chiraagh se aaj hum apna
gharonda phoonk aaye hain.
Bade ghumaan se taaktey they khud ko
aabgeenon mein bar-bar
usi aks se khafa hokar aaj
saare aaine tod aaye hain.
Kya degi ab aur ye duniya
saare ilzaam to de chuki;
Humdardi ki aas kahan?
ab itne thokar khaye hain.
Na udhao ab hum par ye
dhaani rang ke chaadar.
Bas karo! ke aaj hum par
sufaid kafan ke saaye hain.
Vaada kiya tha jis dost se humne
ta-umr saath nibhane ka,
Aansoo mein dubakar aj hum unhe
akela chhod aaye hain.
------------------------------------------
ख़ुदकुशी
स्याही कि बोतल में आज हम
थोड़ा ज़हर भर लाये हैं;
इत्र के बदले आज महफ़िल पर
तेज़ाब छिड़क आये हैं।
जो शम्मा जलाया था हमने
अपने आशियाँ कि रोशनी के लिए,
उसी चिराग़ से आज हम अपना
घरोंदा फूँक आये हैं।
बड़े ग़ुमान से ताकते थे खुद को
आबगीनों में बार-बार,
उसी अक्स से ख़फ़ा होकर आज
सारे आईने तोड़ आये हैं।
क्या देगी अब और ये दुनिया?
सारे इल्ज़ाम तो दे चुकी,
हमदर्दी की आस ना रही,
इतने ठोकर खाये हैं।
न उड़ाओ हम पर अब ये
धानी रंग के चादर,
बस करो! के आज हम पर
सुफैद कफ़न के साये हैं।
वादा किया था जिस दोस्त से हमने
ता-उम्र साथ निभाने का,
आंसूओं में डुबाकर, आज हम उन्हें
अकेला छोड़ आये हैं।
No comments:
Post a Comment