Dard
Hum ghumgheen nahi magar,
tera dard mehsoos karte hain.
Khuda ke is janib dari (partiality) ka,
dil se afsos karte hain.
Dard ne tere zehn ko diye
ghazal kai haseen;
ye kasish mil jaaye humein bhi
ye dua roz karte hain.
.............................................
दर्द
हम ग़मगीन नहीं मगर,
तेरा दर्द महसूस करते हैं ।
ख़ुदा के इस जानिब दारी (partiality ) का
दिल से अफ़सोस करते हैं।
दर्द ने तेरे ज़हन को दिए
ग़ज़ल कई हसीं;
ये कशिश मिल जाए हमें भी
ये दुआ रोज़ करते हैं।